Islam me salaam ki ahmiyat 23

♻✳♻
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       💟  MADNI-MAASHRA💟
         ☆ ★ PART- 2⃣3⃣ ★☆
🍀Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat🍀
⇨ 23- Good morning, Good evening aur Good night ke alfaaz nahi istemal kijiye.
★ Ye Jo baaz qaumo me Good morning, Good evening aur Good night ke alfaaz istemal kiye jate he'n unme avval to salaamti ke ma'ane ko puri tarah Ada karne wala koi lafz nahi he balki isme koi dua he hee nahi.
★ Islaam ne Jo mulaqaat ka Jo tareeqa bataya he wo har lihaaz se kaamil he, Gairo ka Tareeqa akhtyar karna aur unke rivaaj ke mutabik kalmaat moonh se nikaalna mana he, Jo log angrezo ke tareeqe per good morning vagera kehte he"n ya Arbo ke rivaaj ke mutabik
" Subah ul Khair "
ya
" Masa ul khair"kehte he'n isse parhez karna laazim he.
★ Duniya me mukhtalif qaumo me mulaqaat ke waqt mukhtlif alfaaz kehne ka rivaaj he lekin islaam me Jo salaam ke alfaaz mashroa kiye gaye he'n unse badkar kisi ke yaha bhi koi esa kalma marooj nahi jisme izhaare muhabbat bhi ho, aur Allah ta'aala se muhabbat bhi ho aur Allah ta'aala se  Dua bhi ho k aapko Allah ta'aala har qism ki aur har tarah ki afaat aur masaib se mehfooz rakhe, 
★ Lafze Salaam jaha apna khaas maana rakhta he waha Allah ta'aala ke paak naamo me se bhi he,
Sharahe hadees ne farmaya he k ek maani ye he k Allah ta'aala Jo salaamti dene wala he tumhe uske hifz v amaan me deta hu'n, woh tumhe hamesha salaamat rakhe.
    📗 Islahi Mazameen-178.
📌 ALHAMDULILLAH  Khatm  hue.
         ✿
          ▍▍✧ Mαdทï Mαรнrα ✧
          ▍        safa no. 245.
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻

Islam me salaam ki ahmiyat 21

♻✳♻
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       💟  MADNI-MAASHRA💟
         ☆ ★ PART- 2⃣1⃣ ★☆
🍀Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat🍀
⇨ 21- Salaam ke baad muhabbat aur Masarrat ke izhaar ke liye musaafa kijiye.
★ Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam khud bhi musaafa farmate the aur Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ke Sahaba Radi Allahu Ta'ala anhum bhi aapas me milte to musaafa karte, Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne Sahaba ikraam Radi Allahu Ta'ala anhum ko musaafa karne ki takeed farmayi aur uski fazilat aur ahmiyat per mukhtalif andaaz me roshni daali.
★ Hazrat Qatada Radi Allahu Ta'ala anhu ne Hazrat Anas Radi Allahu Ta'ala anhu se daryaft kiya.
Kya Sahaba Radi Allahu Ta'ala anhu me musaafa karne ka riwaaj tha?
" Hazrat Anas Radi Allahu Ta'ala anhu ne jawab diya→Ji Haan tha.
   📗 Tirmizi-2729.
★ Hazrat Huzaifa bin Yamaan Radi Allahu Ta'ala anhu kehte he'n ke Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne irshad farmaya↴
"Jab momin milte he'n aur salaam ke baad musafa ke liye ek doosre ka haath apne haath me lete he'n to dono ke gunaah is tarah jhad jate he'n jis tarah darakht se (sukhe) patte.
    📗 Tabrani.
★ Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Ta'ala anhu kehte he'n ke Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne farmaya↴
" Mukammal salaam ye he ke musaafa ke liye haath bhi milaye jae'n.
     📗 Tirmizi-2730.
[ pαʀт ⇨22 ]
           cσηтίηυє...
               Nεxт  тimε  insнα  αllααн.
         ✿
          ▍▍✧ Mαdทï Mαรнrα ✧
          ▍        safa no. 244.
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻

Islam me salaam ki ahmiyat 20

♻✳♻
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       💟  MADNI-MAASHRA💟
         ☆ ★ PART- 2⃣0⃣ ★☆
🍀Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat🍀
⇨ 20- Gair Muslim ko Salaam karne ki zarurat pesh aaye to Assalamu alykum na kahiye.
⇨ Jis Majlis me Muslim aur Gair Muslim sab hi shareek ho to waha salaam kijiye.
★ Gair Muslim ko Salaam karne ki zarurat pesh aaye to Assalamu alykum na kaho balki Adaab arz, Tasleemat wagera qism ke alfaz istemal kijiye, aur haath aur Sar se bhi esa koi ishara na kijiye Jo islami aqeede aur islami mizaaj ke khilaf ho.
★ Jis kisi majlis me Muslim aur mushrikeen dono jama ho to waha salaam kijiye.
Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ek baar esi majlis ke paas se guzre jisme Muslim aur Mushrik sab hee shareek the to Aap SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne un sabko salaam kiya.
   📗 Tirmizi-2706.
[ pαʀт ⇨21 ]
           cσηтίηυє...
               Nεxт  тimε  insнα  αllααн.
         ✿
          ▍▍✧ Mαdทï Mαรнrα ✧
          ▍        safa no. 244.
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻

Islam me salaam ki ahmiyat 19

♻✳♻
✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
       💟  MADNI-MAASHRA💟
         ☆ ★ PART- 1⃣9⃣ ★☆
🍀Islaam Me Salaam Ki Ahmiyat🍀
⇨ 19- Yahood wa Nasaara ko Salaam karne me pehal na kijiye.
★ Yahood wa Nasaara ko Salaam karne me pehal na kare, Quran shahid he ke Yahood apni baddeeni, dushmani wa zulm wa darindgi wa fareb aur khabasate nafs me badtareen qaum he, Khuda ne is per bepaya inamaat ki baarish ki lekin isne hamesha na-shukri aur badkirdari ka saboot diya he, Yahood qaum he jisne khuda ke bheje hue barguzida pegambaro tak ko qatl kar daala.
★ Nabi Kareem SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne farmaya↴
" Yahood wa Nasaara ko Salaam karne me pehal na kiya Karo aur jab tum raah me inse milo to inko ek taraf simat Jane per majboor kardo.
  📗 Abu Dauwd-5205.
[ pαʀт ⇨20 ]
           cσηтίηυє...
               Nεxт  тimε  insнα  αllααн.
         ✿
          ▍▍✧ Mαdทï Mαรнrα ✧
          ▍        safa no. 243.
          ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✳♉♻