Black day 3

❁                                                 


         ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
         вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
               ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

~@ Kya 6th December ko Black day manana chahiye ??? @~

Mere Pyaare Islami bhaiyon "Black day" manane ka matlab hai us din ko ghum manana Jis din "Babri Masjid" kuffaron ne Shahid ki thi...

Ab aapse mera Sawaal hai ki aap Islam ki tarikh (History) me Mujhe ek din bata dein ki Jis din hum ghum manate hain ???

Badi hi Mazrat Ke saath mujhe aapko kehna padega ki aisa koi din nahi Islam me ki Jis din Ghum manaya jaye kyunki Islam me Ghum manana matam karna jaiz hi nahi hai...

Kuch tarikhi waqiyat aapko yaad dilane ki koshish karta hun jo Islam me Bahut hi ghumgin din hain phir bhi hum in dinon me ghum ya matam nahi karte...

->>>Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne jab parda famaya...

->>>Islam ke Teen Muqaddas Khalifa Radi Allahu Ta'ala anhuma ko Shaheed kiya gaya...

->>>Karbala me Imam-e-Hussain Radi Allahu Ta'ala anhu aur Ahle-Bait Radi Allahu Ta'ala anhuma Ko yazidiyon ne Shahid kiya...

->>>Bait-ul-Muqaddas par jab gairon ne Qabza kiya...

In sab waqiyat par agar gaur kiya jaye toh humein pata chala ki hum ne kabhi in dinon par black day nahi manaya balki hum in dinon me "Islamic Day" yaani khoob nekiyon bhara din ke taur par manate hai...

->>>Namazein padhte hain
->>>Roza rakhte hain
->>>Niyaazein karte hain
->>>Sadqa dete hain
->>>Musalmanon ko khana khilate hain
->>>Aage aane wali zindagi Ke Liye Acchi Acchi niyatein karte hain ki Shariat ki pabandi karenge...etc

Isliye mere pyaare aur meethe Islami bhaiyon humein chahiye ki Babari Masjid ke Liye "Black Day" na manakar isse"Islamic Day" Ke taur par manaya jaye.

Ab hamare "Black day" manane se jo hua usse toh nahi badla jaa sakta magar itna zaroor hai ki "Babri Masjid" ki yaad me hum 6th December ko Aapna din zyada se zyada aapni Masjidon me bita kar unhe aabad zaroor kar sakte hain.

Humein chahiye ki 6th december ko Khoob ibaadat karein aur dua karein ki "Aye Allah Tu hum Musalmanon ko Aapna khoya hua waqar wapas ata farma de..."

Agar hum hamesha Shariat par amal karne wale ban jayein toh ek din aisa bhi aayega Allah ne chaha toh Jahan hamari Masjid thi Wahin dobara banayi jayegi...

Say No to "Black Day's" its not allowed in Islam !

Allah padhne se zyada soch samjhkar amal karne ki taufiq ata farmaye...

      ┄─ ━━━━━━━ ▣ ▣ ▣ ━━━━━━━ ─┄