❁
❁
❁
вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
HAME ISLAMI TEHZEEB PASAND HAI??
Aaj hame Islami Tehzeeb ke bajaye Europe ki tehzeeb pasand hai,
Aaj hame Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke bajaye Ghairo se mutashabihat karna ziada pasand hai.
Aaj Hame Islamic Culture ke bajaye Isai culture ziada pasand hai.
Hazrat Abdullah Bin Omer Radi Allahu Ta'ala anhu se riwayat hai ke Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne farmaya ke
Jis Shakhs ne kisi Qaum ki mushabahat ikhtyar ki wo usi Qaum me se hojayega.
➻ABU DAWOOD.
Ye Hadees har atbar se tashabboh
(kisi ke sath similarity karna)
ka ek aam o taam Qanoon hai.
Hadees sabit karti hai keh Zaahiri tashabboh jis Qaum ke sath bhi kiya jaye abrar o akhyar ke sath kiya jaye ya ashrar o Fujjar ke sath, Khair ho ya Shar me, Mashare me ho ya Tehzeeb o Tamaddun me , anjaam ye hai keh Mutashabbeh
(yani similarity ikhtyar karne wala)
apna Wajood chord kar usi QAUM ke Wajood me Mudgham ho jata hai jis ke sath usme tashabboh kiya tha.
Ab ayye Hum me se har koi apna ,apne ghar ka aur apne ird gird Mahol ka jayeza len Hum me kaun si tehzeeb payi jarahi hai.
islami ya ghair Islami?
Hamara Subah o Sham,Hamara uthna, baithna hamara liabs waghaira sab kis tareekhe par hai.
Hadees se to wazeh hogaya ke hum jis ki similarity ikhtyar karenge Hamara Hashar unhi ke sath hoga.
In ayyam me aksar Muslim bhai bahen Christmas aur New Year celebrate kar rahe hain halanke Ye dono Khalis Isai(christians) ke Tehwaar(Festival ) hai.
Hadees ko ek bar Ghaur se padh kar hum apne amaal ka jayeza len.
Yaad rakhen Islam ek Kamil deen hai aur Islami Tehzeeb ek Mukammal Tehzeeb hai. Apni Mukammal Tehzeeb ko chord kar Naqis Tehzeeb ikhtyar na karen.
Huzoor SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki, Sahaba ki, Aulia Allah ki, Nek Logo ki mushabahat ikhtyar karen.
Musalman ho to Musalman dikhen,
Islam Mazhab hai hamara hum Musalman hai
tu dikhe bhi Musalman na ke Naam ke Musalman rahen aur tehzeeb Yahood o Nasara ki ho.
Khudara Islami Tehzeeb apnaye aur Batil ko shikast den batil to chahta hai ke ham se hamari Tehzeeb cheen le.
Hum Bataden hum bhi Musalman hai aur Hame Islami Tehzeeb pasand hai.
Allah Ta'ala hum sab ko Islami Tehzeeb apnane ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.
•─━━━━━══════━━━━━─•
❁ ❁ ❁