DUAA

DUAA

Ya ALLAH Ham Gande He Magar Tere Hi Bande He,
Ya ALLAH Hamare Gunah Kitne Hi Zyada Hoge Magar Teri Rahmat Se Zyada To Hargiz Nahi Ho Sakte ,
Ya Hamari Ibadate Naqli Ibadate He Isko Asali Ibadat Bana De,
Ya ALLAH Hamari Namaze Bejaan He Ise Jaandaar Banade,
Ya ALLAH Ham Tuje bhi Naraz Karte Rahe Or Tere Mehboob Sallallahu Alayhi Wasallam Ko b Naraz Karte Rahe,
Fir bhi Teri Rahmat me Kami Nahi Aati,
Ya ALLAH ham Daawa To Zor Shor Se Karte he Tere Mehboobki Muhabbat ka Magar Tu Jaanta he k Ham to Is me Bhi Joothe He, Ya ALLAH Apni Rahmat Se Hame Muaf Farma... Konsi Sunnat He Jo Hamne Ada ki....??
Or Gairo ke Tariqe pe Chalte Rahe AGAR TUNE HAMSE HISAB MANG LIYA TO HAM MOOH DIKHANE KE LAYAK BHI NAHI BACHEGE, Ya ALLAH Apni Rahmat Se Hame Muaf Farma...
Or Hamari Namazo Ka Aalam to Ye He k Lapet Kar Hamare Mooh Per Maar di Jaye, Ya ALLAH Hamare Gunaho Pe Nazar Mat Daal, Apni Rahmat Se Hame Muaf Farma...
Ya ALLAH tu Hamse Khush Ho Ja , Or Tere Mehboob SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM ki Sacchi Muhabbat Ata Farma,
Ye Dua Tere Mehboob Sarkare Do Aalam Sallallahu Alayhi Wasallam K Sadqe Me Qabool Farma
    Aameen
Summa Aameen

FAKR OR FAKA OR ROZI KI TANGI DUR KARNE KI DUAA
Ek shakhs ne Aap sallallahu alayhi wasallam ki khidmat me hazir ho kr Fakr o faka or rozi ki tangi ki shikayat ki,Aap sallallahu alayhi wasallam ne usse farmaya:Jub tum apne ghar me dakhil ho to Salam karo chahe koi ho ya na ho, phir mujh par Salam bhejo

" ﺍﻟﺼﻠﻮﺓ ﻭﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﻰ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ "

(As-salatu was-salamu Ala Rasulillah, sallallahu alayhi wasallam)

Phir ek baar surae Ikhlas parho,chunan Che usne Aisa hi kiya ,Allah pak ne us par Rizk ki barish farma di,hatta ke wo rishtedaro or padosiyo par bhi kharch karne laga.
Al-qawlul badi'a:124,
ﺍﻟﻘﻮﻝ ﺍﻟﺒﺪﻳﻊ ١٢٤
.............................
Yeh Dua bohot pyari hai, isko sukun se padho aur dil me ameen kaho aur iss msg ko ho sake to aage forward karo,ho sakta hai ke doosre logo ki ameen se apni dua kabool ho jaye (ameen) 

Ae Allah rabbul Izzat,
Ae saari kainaat ke shehanshah,
Ae saari makhlooq ke paalne waale,
Ae zindagi aur maut ka faisla karne waale,
Ae aasmano aur zameeno ke maalik,
Ae pahadon aur samundaron ke maalik,
Ae insaaon aur jinnaton ke maabood,
Ae arsh-e-aazam ke maalik,
Ae farishton ke maabood,
Ae izzat aur zillat ke maalik,
Ae bimariyon ko shifa dene waale,
Ae baadshahon ke baadshah.
Ae Allah hum tere gunaahgaar bande hain,
tere khatakaar bande hain,
humare gunahoon ko maaf farma,
humari khataon ko maaf farma.
Ae Allah hum apne agle pichle, sagira kabira, chote bade sabhi gunahon
aur khataon ki aur na-farmaniyon ki maafi. maangte hain... 
Ae Allah rabbul Izzat hum apne gunahoon se tauba karte hain humari tauba kubool karle...Ae Allah hum gunahgaar hain, 
siyakaar hain, badhkaar hain, tere hukmo ke na-farmaan hain, 
na-shukre hain lekin mere maabood tere naam leva bande hain teri tauheed ki gavahi dete hain.
Tere siva koi ibadat ke laayak nahi hai.
Tere siva koi bandagi ke laayak nahi hai.
Tere siva koi taareef ke laayak nahi hai.
Humare maabood humare gunah teri rehmat se bade nahi hain.
Tu apni rehmat se humein maaf kardeAe Allah paak aap humein gumaraahi ke raaste se hata kar siratal mustaqeem ke raaste pe chalne waala bana de
Ae Allah aisi namaz padhne ki taufeeq ata kar jisnamaz se tu raazi ho jaye,
zinadgi mein aise nek amal karne ki taufeeq ata kar jin amalon se tu raazi ho jaye.
Humein aisi zindagi guzaarne ki taufeeq ata kar jis zindagi se tu raazi ho jaye.
Imaan pe zinda rakh aur imaan pe hi maut ata kar..
Ae Allah Humein tere hukmon ki farmabardaari karne wala bana..
Aur tere pyare habib janabe mohammad rasoolullah (sallallah o ta'aala alaihi wassallam) Ke nek aur pakeeza tareekon ko apni zindagi mein laane wala bana.
Ae Allah humari pareshaniyon ko dur karde,
Ae Allah jo bimar hain unhein shifa ata farma,
Ae Allah jo karz ke bojh se dabe huye hain unka karz jald se jald ada karwa de, 
Ae Allah shaitan se humari hifazat farma,
Ae Allah islam ke dushmano ko hidayat de or unke haq me hidayat nahi heto unka muh kaala kar de,
ae Allah halal rizk kamane ki taufeeq ata farma,
Ae parwardiagaar- e -aalam humein maangna nahi aata lekin tujhe dena aata hai tu har chiz pe qaadir hai..
Ae Allah jo maanga wo bhi ata farma jo maangne se reh gaya wo bhi inayat farma...
Humari dua apne reham se apne karam
se qubool farma...or jisne ye dua bheji hai or isey aagey badah rha hai uski
saari pareshaniyo taklifon bimariyon
ko dur farma or sehat tandroosti atah
kar..
Aameen Ameen Ameen
.............................
Dua Se Ibadat Hai
Dua Se Barkat Hai
Dua Se Hifazat Hai
Dua Se Maafi Hai
Dua Se Jannat Hai
Apni Duaon Me Ek Dusre Ko Yaad Rakha KaroAur Ek Dusro Ke Liye, Dua Kiya Karo Kya Pata Kab Kis Ki Dua Qubool Ho Jaye
.
DUA KA TALIB