✧✧✧
▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁
вιѕмιʟʟαнιʀʀαнмαηιʀʀαнєєм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⚀ NAMAAZ ⚀
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
⊙ PART -40 ⊙
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Hazrath Abu Hurairah Radi Allahu Ta'ala anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ek baar masjid mein tashreef farmaye the
ki ek Shakhs aaya aur namaz padne laga
Namaz ke baad usne aakar Rasoollallah SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ko Salam kiya
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne Salam ka jawab dekar farmaya," Wapas jakar dobara Namaz padh kyun ki Tu ne Namaz nahi padhi ",
Usne phir se Namaz padhi aur wapas aakar dobara Salam kiya to Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne is martaba bhi yahi Farmaya ki,
" Dobara Namaz padh kyun ki Tu ne Namaz nahi padhi",
Teen baar isi tarah hua aakhir mein us Shakhs ne kaha ki,
" Us zaat ki Kasam jisney aapko sach ke saath bheja hai Main to is sey achchi tarah Namaz nahi padh sakta isliye aap mujhe sikhla dijiye".
Aap SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ne Farmaya,
►Jab tu Namaz ke liye khada ho to Takbeer (Allahu Akbar) kah phir Quran Majeed se jo kuch ho sakye padh
►Uskey baad Ruku kar aur puri tarah Ruku mein chala ja
► Phir Sir utha aur puri tarah khada ho ja
►Phir jab tu Sajda karey to puri tarah Sajdey mein chala ja ,
► Phir Sir utha kar achchi tarah baith ja
► Dobara bhi isi tarah Sajda kar
Yahi Tareeqa Namaz ki Tamam (rakaato mein) ikhtiyar kar".
📗◉➻═┐
Bukhari Sharif,
Jild 1, 793.
◉••◯••◉✧◉••◯••◉ ◰ ◱ ◲ ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺