❁
❁
❁
︻︻︻︻︻︻︻︻︻
【 βismiнi тα'ααLα 】
︼︼︼︼︼︼︼︼︼
❁
❁
︻︻︻︻︻︻︻︻︻
【 βismiнi тα'ααLα 】
︼︼︼︼︼︼︼︼︼
BARAWAFAT WA EID MILADUN NABI KE JASHN ISLAM MEIN KYA HAI AUR ISKI HAQEEQAT… PART – 4 OF 8
Aaj ummat ne Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki seerat ko chhod kar sirf ek din pakad liya hai aur bas sari muhabbat aur aqeedat apni jahilana harkato aur baton ke zariye sari duniya ko dikhate phirte hain, khud ko Isaiyo aur yahoodiyo se zyada gira diya ki dekhne wala bata nahi sakta ki ye Musalman hai ya Kafir. Khusoosan is jahilana harkaton mein Barr-e-sagheer Hind, Pak, Bangladesh sabse age hain, Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din ko jashn mein tabdeel kar diya aur besuri awazo se nare lagane mein magan rehne ko ishq-e-Nabi kahte hain, hind mein kayi jagah juloos bhi uthte hain unme dekhiye to aksariyat aisi hoti hai jo shakal se he musalman nahi lagte, uske bad bade bade speaker aur sound laga kar nachte gate aur shirkiya kalimat ka wird karte hue Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki wafat ke din shor ghul karte hain aur jashn manate hain. Hatho mein Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ke nam ke jhande hote hain aur ankhe chajjo par latki hui Maa Behno aur betiyon par hoti hai, koi shakhs aisa nahi dikhta jiski nazre niche dekh rahi ho ya samne he dekh rahi ho, har shakhs bas shikar dhoonda karta hai, aur hum apni maa behno ko kya kahe, agar koi inhe dekhe to ye chupti bhi nahi hain balki hasi aur thahake se uski ghaleez nazro ko welcome kahti hain. Pura pura din juloos nikalta hai hazaro ki bheed hoti hai aur namaze…? Ye kya hota hai…? kya Musalman ko namaz bhi padhni chahiye..? hain…? Ye to ajeeb bat kar di bhai, hum to yahan nachne koodne aye they, tum to namaz ke liye kah rahe ho, ye kam nahi ho payega, abhi jume ko to padhi hai… ab kya phir se padhe..? Ye hal hai UMMAT ka aaj, bs juloos uthwa lo aur nare lagwa lo… Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka nam ane par JHOOM jate hain aur Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki sunnat ke nam se GHOOM jate hain, nare lagte hain “Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ka daman nai chhodenge” hum to kahte hain pahle pakad he lo sahi se chhdne ki bat to bad mein hai, shaklo se Nabi SaLLaLLahu ALayhi WasaLLam ki sunnat gayeb hai, kapdo yahoodiyat aur isaiyat jhalak rahi hoti hai, sar hamesha ki tarah nanga aur jism aise thirakta hai mano kisi ne current dauda diya ho… Khair bahut kuch hai kahne ke liye, ALLAH humein kahne sunne se zyada amal ki taufeeq ata farmaye.
Aameen.
Aameen.
🔜 Baaki Next Time Inshaa ALLaah.
┄─━━━━━━━▣▣▣━━━━━━━─┄