Shohar bivi ke huqooq 4

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
           ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
              ⚀ Sн๑нαr βïพï
                     Ke Hบq๑๑q  ⚀
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -04 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ke saath Khush Akhlaqi ka Bartaav Kijiye, aur Pyar Mohabbat se Pesh aaiye.
 Apni khush Akhlaqi aur naram mizaji naapne ka asal maidan gharelu zindagi he.
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he.↴
   Kaamil imaan wale momin woh hai Jo apne akhlaq me sabse achchhe hai,
aur tumme sabse achchhe log woh hai Jo apni bivio'n ke haq me sabse achchhe hun.
       Reference:
                        Ibne-Maja.
 Aur kharch karne me tangi na kare, apni mehnat ki kamai ghar walo per kharch karke sukoon aur Khushi mehsoos kijiye,
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ka irshad he.↴
" Ek dinaar wo he Jo tumne khuda ki raah me kharch kiya, ek dinaar wo he Jo tumne kisi gulaam ko azaad karane me kharch kiya,ek dinaar wo he Jo tumne kisi faqeer ko sadqa me diya, aur ek dinaar wo he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,  inme sabse zyada ajr aur sawab us dinaar ke kharch karne ka he Jo tumne apne ghar walo per kharch kiya,"
       Reference:
                   Muslim sharif,
                     Riyazul saleheen,
                          Jild-1, safa 172.
       Reference:
                  💟Madani Mashra💟
     (pαʀт ⇨05)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━