Shohar bivi ke huqooq 1

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
       вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                                             
              ⚀ Sн๑нαr βïvï
                     Ke Hบq๑๑q  ⚀
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                 ⊙ PART -01 ⊙
                ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Bivi ke huqooq kushada dili se Ada kijiye.
 Bivi ke saath achchhe sulook ki zindgi guzare, uske huqooq kushada dili se Ada kare.
Allah ta'ala ka irshad hai↴
" aur unke saath bhale tareeqe se zindgi guzare".
 Huzoor  SaLLaLLahu  ALayhi  WasaLLam ne Hajjatul Vida ke mauke per hidayat farmai↴
" Logo Suno!  Aurto ke saath achchhe sulook se pesh aao kyu ki woh tumhare paas qaidiyo ki tarah hai,
Tumhe unke saath sakhti ka bartav karne ka koi haq nahi, Siva is soorat me jab unki taraf se koi khuli hui nafarmani saamne aae, agar woh esa kar bethe to fir khwab gaho me unse alahdah raho aur unhe maaro to esa na maarna k koi shadeed chot aae, aur fir jab woh tumhare kehne per chalne lage to unko khamakha sataane ke bahane na dhoondo,
 Dekho suno!  Tumhare kuchh huqooq tumhari biviyo per hai aur tumhari biviyo ke kuchh huqooq tumhare ouper hai, un per tumhare huqooq ye hai k tumhare bistaro ko un logo se na rundwae jinko tum napasand karte ho aur tumhare gharo me ese logo ko hargiz na ghusne de, jinka aana tumhe nagawar ho,
 aur suno! Unka tum per ye haq he k tum unhe achchha khilao aur achchha pehnao, "
(yani unke khilane pilane ka esa intezam kijiye Jo zojen(biwi) ki bemisal qurbat, qalbi talluq aur jazba e rafaqat ki shayane Shan ho)
       Reference:
          💟Madani mashra💟.
     (pαʀт ⇨02)
            Nεxт  тimε  insнα  αllααн
    ━═─────────────────═━